Friday, 27 March 2020

Mehfil-e-Exam #Creation 47

Theek 6 mahine baad aaj phir ek baar... दरबारियों  ke kaano me khatre ki ghanti baji hai..
नजदीक  aa rhe संकट  ko dekhte hue...aaj phir mehfil-e- exam सजी  hai !
Kitaabo ka बक्सा  khola to pata chala ki pichle semester ki hi bas kuch phati hui Passbooks  padi hai..
han ek hai wo library ki kitaab jo pehle hafte me issue kara li thi josh me, par wo कम्बख्त moti badi hai...

Gadi uthai aur passbook  ki taalsh me chal diye hum...dimaag ke ek kone me kitaab ki late fees ki calculation chal rhi thi...
दर-दर भटके  hum, शहर छान  mara par har dukaan pe passbook 'out of stock' mil rhi thi...
Khali hath phuche ghar to dekha bahar khuli chappalo me इज़ाफ़ा  hua , दरबार  ki jaise puri तस्वीर  hi badal gyi thi..
sab the toh alag-alag branch se, par it was like Divided by branches...united by जुल्म  of university...

bas phir kya tha, hum branch ke sabse 'ज्ञानी backchhod' ko घेर  ke chorus me bole "Bhai please pass karade",
Wo bola waise to mujhe revision karna tha par theek hai...padha dunga, pehle koi zara kadak si chai पिला दे ...
Pura कुम्बा  utha aur नजदीक  wali chintu bhaiya ki chai ki thadi ki aur badh liya,
कांच के ग्लासों  ke tower bante gaye..., aur thodi hi der me suraj bhi dhal gya...,

Ab calculation lagaya beth ke ki 15 ghante me 5 unit kaise निपटानी  hai ,
Phir ek ne yaad dilaya ki aaj to sala Al-classico hai...  team ke प्रति  apni जिम्मेदारी भी तो निभानी  hai..
किताबो  me pencil fasa ke , dost ka projector manga ke...puri शिददत और   बलिदान की भावना  se match dekha aur Madrid jeet bhi gayi...
Phir ab khali pet to padhai hoti nahi  तो khana khane ढाबे  pahuch gye sab, aur pata na chala kab aadhi raat ko beet hi gayi..

ab bache the ghante 8 aur unit abhi bhi 5 bachi thi. ..ab फटी  अचानक , तशरीफ़ me thodi khal-bali machi thi,
mahol thoda गंभीर  hua aur humare gyaani bakchod ne padhana shuru kara, aur 2 unit padha ke bola main ab apne बिस्तर  chala...

भोर ho chuki thi ab aur ab ghante bhi bas 5 hi bache the, aur abhi 3 unit baki thi puri, 2 ke bhi bas importants hi kare the...
धूम्रपान  jalaye gaye aur pucha ek -dusre se ki iss विपदा  se kaise mare escape ,
hum 3-4 hi jyada लुढ़कने  की कगार  pe the, baki sare to le rahe the ghanto se nap...

Management ki degree lene se ni aata wo जुगाड़  jo 4-4 topic padh ke ek dusre ko padhane ko kehte hai...
isi management ki wagah se aaj naa jane kitne kahi engineer bane bethe.hai....

bas phir jaise-tese esi सामूहिक  padhai kar ke 8 bje tak 3 unit niptai, 
aankhein laal, फेफड़ो  me taaar... passing marks ki phir dobara calculation lagai...

Ab hum the athaa confidenti, kyunki passing marks to 3 unit me aaram se aa jaane the...
par phir aaya wo aadmi humare pas, jisne course complete karne ke sath sath ... 2 revision bhi mare the.,

4-5 topic ke naam bole usne , jo humne nhi padhe the...aur wahi topics sabse important bhi the uske हिसाब  se...
Aur phir phati humari kyunki ye topic to chhodo, lag raha tha 3 me.se ek unit to.already nikal gayi dimaag se...

Par ab question chahe jo aaye...jo padha hai wo to likh ke aana hi tha...
बेखौफ  ho kar nikal liye college ke liye, kyunki iss खोखले  confidence ke alawa na hi kuch aur sahara tha...

Esi hi mehfil -e- exam  प्रति  saal  2 baar sajti hai,
 6 mahine koi kitaab ni छूता , bhale pata hai end me har baar bajti hai...
kon कम्बखत  top karne ko paper deta hai, hum to dete hai passing marks ke liye,
Ab wo Chahe 'Grace' se mile to theek, warna chhod do ek subject agli baar ke liye... 


Written By: Garvit

Socha aaj kuch fresh sa likhu #Creation 46

Amid these Covid-19 situations, may this read reminds you the good things that has happened in your life and put a smile on your face :)

Socha aaj kuch fresh sa likhu....
Inn महकती  barsaati hawao sa.......  wo pehle pehle pyaar ke undefined एहसास  sa 
Wo zindagi ke pehle gulaab sa.., uske baare me aaye pehle khwaab sa...

Kuch esa jo bachhe ke pehle kadamo sa बेफिकर  ho,
Kuch esa jaisi pehli pehli baar chadhti liquor ho...
Kuch esa jo birthday pe mili nayi cycle  dekh ke uss bachhe ke chehre pe aayi मुस्कराहट  ki tarah ho...
Kuch esa jaise barso baad mile sab cousins me bachpan ki unn तमाम  शैतानियों ka ज़िक्र  ho...

Socha aaj kuch fresh sa likhu.... 

Kuch esa jo uss thandi raat me  आखरी   'bye' ke baad aaye life ke pehle kiss ki tarah ho,
Kuch esa jo सात समुन्दर  paar barso baad uss लंगोटिया  यार  se milne ki khushi ki tarah ho,
Kuch esa jo mere pehle paycheck ko dekh ke papa ki aankhon me aayi chamak sa roshan ho ,
Kuch esa jo bina calculations aur manipulations ke dekhe gaye jeevan ke sabse bade dream ki tarah ho...

पिटारो  me mili बचपन  ki  "personal diary" sa, 
Maths copy ke last panne pe likhi life ki pehli shayri sa...
मेले के झूलो  pe loat ke aaye uss बचपन  sa ,
Wo khule aasman ke niche liye lete koi खाली मन sa ...

Socha aaj kuch fresh sa likhu.... 

Written by : Garvit

Shabdo ki kami #Creation 45

Visit https://youtu.be/kv181TBlvnA for listening the same 

Shabdo ki kami mujhe lage kabhi to , tu apni saason me mere liye kuch labzz le aana,
main awaaz naa de pau kabhi to,  tu unn waado ke khatir hi loat aana.....

Kadam tere piche chhoot gye to kya, rait pe humare wo kadmo ke nishaan humesha saath rahenge,
bhale duniyaa iss paar ki sab bhool jaye, par unhe choo rahi lehro me wo pal sada kaid rhenge..

main aa jaya karunga inn lehro se baatein karne, bheegne uss kal me jisme tu mere saath thi..
dhalti shaam ko wo kisse batane aur wo geet sunane jinka tu raag thi...........

main aasman me rang dhundhu kabhi to, tu badal sa mujhpe baras jana,
main awaaz naa de pau kabhi to, tu unn waadon ke khatir hi loat aana...

manzilo pe naa milna bhle tu, par in raaston pe rahgir ki tarah to takra hi sakti hai,
pehchaan ne se mana kar de teri nigaahein to ,  kabhi kisi anjaan ki taraf bhi to muskura hi sakti hai,

haan agar teri muskurahat ko dekh ke thoda behak jau to tu kams-kam samajhdari se najerien fer lena,
main usse ankhon ka dhoka samjh lunga, aur tu mujhe koi sarfira keh dena....

Roshni zindagi se rooth jaye to kabhi, tu meri raaton ka andhera ban jana,
main awaaz naa de paau kabhi to, tu unn wadoo ke khatir hi loat aana...


शब्दों की कमी  मुझे लगे कभी तो , तू अपनी साँसों में मेरे लिए कुछ लब्ज़ ले आना ,
मैं आवाज़ ना दे पाउ कभी तो ... तू उन वादों के खातिर ही लौट आना | 

कदम तेरे पीछे छूठ  गए तो क्या , रेत पे हमारे कदमो के निशाँ हमेशा साथ रहेंगे ,
भले दुनिया इस पार की सब भूल जाए पर उन्हें  छू रही लेहरो में वो पल सदा कैद रहेंगे  | 

मैं आ जाया करूँगा इन लेहरो से बातें करने , भीगने उस कल में जिसमे तू मेरे साथ थी,
ढलती शाम को वो किस्से बताने और वो गीत सुनाने जिनका तू राग थी | 

मैं आसमान में रंग ढूँढू कभी तो , तू बादल सा मुझपे बरस जाना ,
मैं आवाज़ न दे पाउ कभी तो उन वादों के ख़ातिर ही लौट आना | 

मंज़िलों पे न मिलना भले तू , इन रास्तों पे राहगीर की तरह तो टकरा ही सकती है ,
पहचानने से मना कर दे तेरी निगाहें तो कभी किसी अनजान की तरफ भी तो मुस्कुरा ही सकती है | 

हाँ अगर तेरी मुस्कराहट देख के थोड़ा बहक जाऊ तो तू कम -से -कम समझदारी से नज़रें फ़ेर लेना ,
मैं इसे आँखों का धोका समझ लूंगा और और तू मुझे कोई सरफिरा कह देना | 

रौशनी ज़िन्दगी से रूठ जाए तो कभी , तू मेरी रातों का अँधेरा बन जाना ,
मैं आवाज़ न दे पाउ कभी तो , तू उन वादों के खातिर ही लौट आना...... बस लौट आना | 

Written by : Garvit





Kal Phir ek baar #Creation 44

Visit https://www.instagram.com/tv/B8ROQzql3UC/?igshid=1fp5evd75wq94 for listening the same

Kal phir ek baar wo mere sapne me aayi ..,
yun to uske sapne humesha se dekhta tha me....par  ab zameer  se izazat ni milti...to wo khud hi aa jati mujhe chidhane, 

nadaaan ho kar mujhse puchti hai.. kya haal-chaal hai aaj kal tumhare...jaise andaza hi na tha kuch use ..

puchti mjhse ki kya Vijay se FIFa me abhi bhi pehli jeet ka intezaar hai ...kya abhi bhi engineering mathematics tumhari samjh se bahar hai...
Kya aaj bhi speaker serhane rakh ke...gaane sunte sunte hi so jaate ho..
Kya aaj bhi  garmiyo ki raaton me bina puche ghar me sabke liye kulfi le aate ho...

Kehti wo kali shirt ....wo kali shirt jo.. maine pichle birthday pe gift kari thi.., uska jo button uss din car me tut gaya tha...wo abhi tak ni judwaya hoga na tumne...
Kehti tum jo likh rahe the mere liye...wo nagma, wo khat...jo bhi tha, wo tum kab pura karoge...

Main batana chahta tha use ki kitna man karta hai uss shirt ko pehen ke khud ko nihaarne ka, par jaise lagta hai...ki button to jud jaega par dhago me wo rang milna mushkil hai...
Main batana chahta ki wo nazmein sabhi to tab hi puri ho gyi thi....par main iss adhuri kahani ki unn dhero yaadon ke baad ek aur panna sahezne k liye tumne ni dena chahta tha...


kuch dino se jo marammat me laga tha main khud ki....uss marammat ki kal kuch esi shamat aai..
ki kal phir ek baar wo mere sapne me aai...

Wo chehra..jo waqt ke sath inn laakho chehro me thoda dhundhla hone hi laga tha...
Wo aankhein ..jinse ankhein chura leta tha main sheher ke kisi mod pe kabhi takra jaati thi to...
Wo baatein ... jinki gunj kaano me shayad thodi dheemi padne hi lgi thi...

Wo sab ek jalak se teri yun abaad hue, jaise  koi aandhi dhero panne palat ke phir kitaab ki shuruaat pe le aai...
Kal phir ek baar wo mere sapne me aai....


कल फिर एक बार वो मेरे सपने में आयी 
यूँ तो उसके सपने देखता था हमेशा से , पर अब ज़मीर से इज़ाज़त नहीं मिलती तो वो खुद ही आ जाती है मुझे चिढ़ाने | 
नादान हो कर पूछती है मुझसे क्या हाल चाल है आज कल तुम्हारे , जैसे कुछ अंदाज़ा ही ना था उसे,

पूछती मुझसे क्या विजय से fifa में अभी भी पहली जीत का इंतज़ार है ,  क्या अभी engineering mathematics तुम्हारी समझ से बहार है ,
क्या आज भी speaker सिरहाने रख के गाने सुनते सुनते ही सो जाते हो ,
क्या आज भी गर्मी की रातों में बिना पूछे घर में सबके लिए कुल्फी ले आते हो ,

कहती वो काली shirt .... वो काली shirt जो पिछले birthday पे gift करी थे मैंने तुम्हे उसका जो button उस दिन कार में टूट गया था वो अभी तक  नहीं  जुड़वाया होगा न तुम्हे ,
कहती तुम जो लिख रहे थे मेरे लिए.....  वो नगमा वो खत जो भी था , वो तुम कब पूरा करोगे !

मैं बताना चाहता था उसे की कितना मन करता है उस shirt को पहन के खुद को निहारने का पर जैसे  लगता है की button  तो जुड़ जाएगा पर धागो में वो रंग मिलना मुश्किल है | 
मैं बताना चाहता की वो नज़्मे तो तब ही पूरी हो गयी थी पर मैं इस अधूरी कहानी की  उन ढेरो यादों के बाद तुम्हे एक और पन्ना सहेजने के लिए नहीं देना चाहता था | 

कुछ दिन से जो मरम्मत में लगा था मैं खुद की , उस मरम्मत की कल कुछ ऐसी सहमत आयी ,
कि कल फिर एक बार वो  में आयी !

 जो वक़्त के साथ इन लाखों चेहरों में थोड़ा धुंधला होने ही लगा था ,
वो आँखें जिनसे आँखें चुरा लेता था मैं शहर के किसी मोड़ पे कभी टकरा जाती थी तो ,
वो बातें जिनकी गूंज कानो में शायद थोड़ी धीमी पड़ने ही लगी थी ,

वो सब तेरी एक झलक से यूँ आबाद हुए जैसे कोई आंधी ढेरो पन्ने पलट के फिर किताब की शुरुआत पे ले आई ,
कि कल फिर एक बार वो मेरे सपने में आयी | 

Written by: Garvit

Friday, 16 November 2018

Ek Din Main Bhi Udd Jaunga #Creation 43

Main cycle ki hoon back seat tum limo ki luxury gaadi...
Main rasoi ka kapda hoon tum ho banarasi saadi...
Main mathumakhi ke chhatte sa tum panchi ki udaaan ho..
Main UP ka koi dumpyard tum dakkan ke Pathaar ho..

Main san-70 ka transistor tum ho tv smart,
tum dessert videshi ho main hoon thele ki chaat...
Main police ka danda hoon tum phoolon ki barsaat ho..,
main jalta suraj garmi ka tum sard ki komal raat ho,

tum business class sawari ho , hum gate pe latke aae hai...
tum nobel ka samman ho humne joote bhi khaaye hai,
tum punam ka ho tajmahal main purana sa khandar hoon...
tum morni madhuvan ki main circus wala bander hoon..
 
Tum wine ka limited edition ho, hum kachakde ka dabba hai...
tum colourful si moctail, hum mele ka murabba hai...
tum sunaar ki tizori ho..., humra dusra naam kangaali hai..
tum sharukh khan ki mannat ho, hum tapri tapakne wali hai..

par dil ko difference dikhe nahi, aur ho gya tere naam...
ab chahe bech aao ise tum kodiyo ke daam..
Main tute tang ki patang sa.., sangharsh karta najar aaunga..
tum dori thaame rakhna bas, ek din main bhi ud jaunga...

hum ghunghe ki awaaz hai..tum lata didi ka gaan ho...
hum koyle ki khaan hai tum heere ki dukaan ho...
hum seemi hui maachhis hai tum jaise akhand jyoti ho...
hum signal ke bikhari hai to tum ambani ki poti ho....

Tum chappan bhog lagati ho, main kanda-roti khata hu , 
tum disco club me jaati ho, main aaj bhi pe kue pe nahata hoon
tum logo ka good luck ho, main manhusiyat ka baap hoon..,
tum devo ka vardaan ho , main rishi-muniyo ka shraap hoon...

tum twenty-four carat gold ho, hum chedo wali juraabe hai...
tum time sqare ki chamak chhondh, hum barsaat ke baad ka bombay hai ..
tum mugle-e-aazam ki anaarkali hum sholay ke hai raam-laal....
tum pari jannat ki ho, hum jungliyo ki hai misaal..


tum atal ji ki bhajpa main kejriwal ki aap hoon,
tum jeevan bhar ka purd-dharm, main ganga bhar ke paap hoon...
tumhare dady birthday pe, car - scooty dilate hai..
humare yaha pe 100 gram jalebi me khush ho jaate hai ...


par dil ko difference dikhe nahi, aur ho gya tere naam...
ab chahe bech aao ise tum kodiyo ke daam..
Main tute tang ki patang sa.., sangharsh karta najar aauunga..
tum dori thaame rakhna bas, ek din main bhi ud jaunga...

@GARVIT



Tuesday, 30 October 2018

Achha Nahi Kiya #Creation 42

मदहोश था मै पहले ही मोहब्बत कर के,
ये मयखानों का पता बता कर तूने अच्छा नहीं किया
चाँदनी में छाँव से खुदकी बातें कर के भी खुश था मैं तो ,
तूने अपना बिस्तर बगल में लगा कर अच्छा नहीं किया ।
ज़िन्दगी खूबसूरत है, अम्मा से सुनता था ये हमेशा से ,
पर तेरी खूबसूरती को मेरी ज़िन्दगी बना कर तूने अच्छा नहीं किया ।
यूँ तो ख़ास सुकून पहले भी ना था सासों को,
पर इन साँसों में इज़तीरार सा ला कर तूने अच्छा नहीं किया ।
सपने मेरे जो बेबाक हर किसी को एक कहानी सा सुना दिया करता था ,
उन सपनो को तूने अपना कायल बना कर तूने अच्छा नहीं किया
लब्ज़ों से मन की गहराइयां छूने का बेशक शौक रखता था मैं,
उन गहराइयो में मुझे इश्क़ की हतकडी लगा कर तूने अच्छा नहीं किया ।
पहली बारिश की बूंदों में जलती मिट्टी से पहले भीग लिया करता था मैं,
उन बारिशो को भी तेरी याद का एक जरिया बना कर तूने अच्छा नहीं किया ।
जुबां पे कभी तरानो की धुन रहती या कभी कोई गजल के बोल..और दिन यूँही निकल जाते थे,
की बोल ढूंढे नहीं मिलते अब, मौहब्बत की ऐसी दिल में सरगम सजा के तूने अच्छा नहीं किया ।।
@Garvit Agrawal

Sarhad # Creation 41

Zameen baat di jin logo ne, majhab ke naam pe,
Kuch ne allah do dosh de diya, kuch ne madh diya dosh raam pe..,
Wo murat kya samjhenge, ki ishq chaadar ka rang nahi samajhta hai,
Wo masoom hai jo sirf khoobsurat dilo me sajta hai...
Wo masoom hai...jo sirf khoobsurat dilo me sajta hai...
Sarzameen pe sarhade ban gayi hai, par dil-e-nadaan bekhabar hai iss baat se,
Tujhe yaad karne ka silsila rukta ni seher tak, jo shuru hota der raat se,
Jitni hi kayamat aa jaye mujh deewane pe , tujhse badi kayamat bhi kya dhaega wo khuda ...
Hum ishq ki ibaadat karte hai paglo ki tarah, to kaise kar dega koi mujhe mere rab se juda...
Tere meethe meethe tahako ka geet , aaj bhi mere kaano me bajta hai...
Masoom sa hota hai ishq bada, jo
Sirf khoobsurat dilo me sajta hai...
Sochta hu,Pakistan main patchhad utne hi  rangeen hote honge na..
Jitna rangeen banaras ki galiyo main wo fool baazar hota hai..
Dard ki cheekh waha utni hi bhayanak hoti hogi na,
Jitna bhayanak wo alam hota hai..jab yha koi dil hi dil me rota hai..,
Nukkad ke natak jo dekhte the hum sath, waha bhi itne hi majedar hote honge na,
Nadi kinare ghanto sath bitane ke armaan, waha bhi har jode sanjote honge na...
Waha bhi hawa ke jhoke masti me, teri julfo se ched chaad karti hongi na..,
Aur baarish jab padti hogi uss mulk me, jo  dilo me sargam to waha bhi bajte honge na..
ashq koi jo palko ko bighota hoga teri, to koi nawazish se use sametne to aata hoga na...
Mukesh ko sun kar aaj bhi tera har rom roz jhoom jata hoga na...
Garmi ki chandni raato main jab tu chhat pe tehalti hogi, to aaj bhi chand tere aage kuch feeka sa lgta hoga na,
Aaj bhi surma laga ke jab tu nikalti hogi to iztiraar sa fizao me chhaa jata hoga na...
Mushkile na hoti mohabbat me to, isse nibhane me itna maja kese aata,
Teri baaho ki jannat me hi zindagi nikal jati, ye dil iss meethe dard ki saja kese khata...
sochta hu,ek din hath thaam kr nikal chalenge, uss mustakil ki parwah chhod kr..
har bandhan se, har majhab se aur har uss cheez se dur jo humari qurbat ke khilaaf hai..,
Door ho chalenge har uss cheez se jo mohabbat nahi hai,
Uss noor ki aur jo upar hai sabse, iss ishq main duniyadari mujhe maaf hai..
Haan par afsos rhega sada mujhe, ki naa mazhab ko Mohabbat sikha paaya, na mohabbat ko mazhab., 
kab tak tamashe dekhta rhega tu ese ae khuda., bta de tu ye silsile rokega kab....
@Garvit

Thursday, 24 May 2018

Meri Pyari Relgadi #Creation 40

A poetic version of a typical love story with a pinch of humour. Watch the video and read along.



Bhari thand me.. subh uth ke uske didaar ko nikle the hum..
Maflar topa sab fail ho gye the, 2 ghoont phir maari thi rum..,
Girte padte bhaag dodh ke uss bus stop jaa phucha.,
Jaha kal use dekh pehli baar, dil ki bagiyaan me hua locha...
phucha jab waha to wahi khadi thi wo haseen peeli saree me..
jese sone ka pura bazar la diya ho mujhe kisi ne udhaari me,
Main khoya soch vicharo me ki apni har raat ho iski godi me let ke...,
ki utne me aayi ek laal bus, aur chali gayi wo zaalim usme beth ke...
par main akela nahi bebas tha waha, jaate hue use dekh rhe the sab...
itne me bagal wala kaan ke paas aa kr bola, sir ji.. welcome to the club...
me khada rha kuch der waha, socha kal pkka meri luv story ki shuruaat hogi...
padh gya main soch me phir ki mera pyaar hai ya train ki general boggi..!!

Tip tip barsa paani raat bhar.. Aur me uski yaadon me barasta raha..,
Uss din puri raat ye dil koi kaale badal sa garajta raha,
Bhor hui to socha aaj thoda jaldi phuch jata hu,
Pr jese hi phucha bus stop to pata hai phir me kya pata hu..
7 hi the kal to sasure aaj ho gye pure dus...,
mufat me bat rha ho jese rakhas lok amrit ras..., 
The to sab ke sab hi nirale, par kuch to the bilkul offset,
Mathe pe tilak vastav ka to haath me sallu jaisa bracelet,
ek the chacha Bhopali , paan daba kar aae the...,
shero-shayri ke sada bahar unhone nuskhe bhi apnae the...
Par wo ladki ka dil tha thoda mehanga.., itni asani se milne na wala tha...
par wo na janat the ki iss bar khel me unka kisse pada pala tha.,
Bus aai aaj bhi laal, aur usme ho gayi shrimati sawar...
Par dhradh-nishay sa kra tha mne naa jane dunga mouka iss baar,
to chhadh gya me bhi usi jahaaz me jiska na ab koi dhikana tha...
bhavnao ki lehro se sambhal kar, mujhe apni Nayya paar lgana tha..,
Jaa betha uski piche ki seat pe me aur baki umeedwaro ki aur dekh ke thoda muskura diya...,
Ese hairaan pareshaan the sare jese kisi ne mufat ki dawaat ko thukra diya ....,
bus to badh gyi thi aage par ab meri ye Prem katha kaise aage badhti... 
Na kuch tha use kehne ko, naa wo aa kar meri ankhe padhti,
itne me upar wale ne kuch madad bheji aur unke hath se ek kagaj chhuth ke aa laga meri chhati se,
Esa Laga ek pal ke liye jese diya mil gaya ho uski baati se.,
Wo palti aai kayamat yaaron , violen se bajne lage background me...
Jese jeet ka swagat hua ho ...jo mili thi abhi elimination round me...
Sambhaala khud ko mushkil se aur muskuraate hue lotaya kagaz unka,
Par unhone loota tha chain jo mera , ab mushkil hi tha hisaab bhi milna uska...
Paper is a non-conductor ye padhe the hum bhi science main,
Par chua usne wo kagaz to laga jhatka esa jaise heera nikal gaya ho patthar ki mines me...,
Thank you bol ke palti wo, darshan ke pat band hue julfo se uski ,
Wo palti hi thi ki ...main kuch kehne hi wala tha aur laali ne li ek tanik si thuski,
mohtarma apni tashreef uthae, pallu sambhale darwaze ki aur badhi,
2-3 bhaisahab aage the bas unke , aur ek pal k liye laga ye kahani yahi reh jaegi dhari...,
Utar gayi wo bas se niche, aur me bas dekhta hi ja rha tha usko,
Kya kahu, Kya karu...kaise roku.....kuch bhi samjh na aa rha tha mujhko,
Laga tha jese khatm ho gya ye Jannat ka trailer , wo husna pari thi jahan ki..,
itne me awaaz aai ki  'arrey bhai, ye bag kiska reh gya' , aur samjh gaya main ki abhi picture thi baaki...
Chhena bag mene kaka se,main bhaga-doda bhul jahan, 
Cheekha main bus ek min rok de bhai, Manzil piche meri tu le jaega kahaan...
Chalti bus me utra main, aur dod lagadi ulti phir mene...
Milkha singh sa bhaga esa Na traffic dekha  na signal mene ,
Tapkne lagi mathe se boonde, par 2 minute me hi phuch gaya main phir uss kinare,
Jaha lehre uthi thi abhi kuch der pehle hi, aur naav meri chhod gayi thi mujhe in kanaro ke sahare..,
Par nazar ghumayi to wo ladki kahi na dikhai di ....naa dikhai di mujhe koi chamak kahi...
Haan bas laal rang ki ek shandar Gaadi khadi thi kone me wahi...
Arre bhai Sunder cheez dekh ke khushi hi hoti hai na, wo gaadi dekh kar mujhe bhi hui ek daafa...,
par jese hi ander jhankaa main to samajh gya... ki noto pe hi kyu likha tha 'Sonam bewafa' ,
Ander bethi thi anarkali wahi... Apne dashing se salim ke sang,
hum the thehre aadmi desi, kaha daalte sala rang main bhang,
pappi- jhappi sab mili salim ko. , Akhir raeesi to chehre se hi tapak rhi thi....
Tab samjha wo bai aankh meri subh se kyu fadak rhi thi....,
Ladki bhi gayi laali bhi gayi, chhod gye the sab mujhko uss mod pe...
Jal rha tha dil ese jese plastic jalta hai immersion rod pe, 
Agle din phir gaya me usi junction, jaha se wo train har roz gujra karti thi,
Wahi jaha sirf uss train ko dekhne ke liye bhari bheed jama hua karti thi...
Gaya main waha to aaj wo muskurae mujhe dekh ke aur mene apni najare jhuka li.,
 Kuch sarcasm tha unki ankho me , jese keh rhi thi bhai ne bhi apni thuka li...
Wo rajdhani si thi gareebo ke jeevan, ye baat aai thi mujhe bhi samjh me ab,
Dekh ke nayan-sukh-praapti kar le, bas itna hi bheed me chahte the sab.,
to usi din se main bhi unn logo me shamil ho gya, jinke pas keval platform ticket hi hota tha...
Aur Har dusre din us bheed me ek naya Aashiqe badha hota tha...
Jese tese himmat kr chaadh to jate the uss luxury relgadi me krne sawari...
par jab TC dikh jata kabakht wahi, to ban jate gareeb kavale...


@GARVIT



Wednesday, 18 April 2018

Asunder #Creation 39

We are apart . Aloof by the oceans.The Oceans which make us unreachable to people we love, to places we admire, but we can't blame them as they don't know a thing about being apart. I haven't seen you since months, the thing which I have always doubted I could even for a day ,but filed time dictated upon uncertainties. I have learned that our perfectness needs not to be perfect always .As life is not meant to be perfect.  I am captive by the distances and memories you gave me are my rays. When I open up my eyes in the mornings, I miss that feel to watch you next to me sleeping heedlessly wrapped up in that blanket.I lean to my phone to check for reply to the text I did last night., its a little rare though to have it there, but I can't be cursory about anything that includes you.  I oftenly gloom myself and wonder that weather you are still the same? I am curious to know that do you still deal the things the way you used to do, that  diligence and lifelike. Do you still tempt for those jars of nutella? Do you still want to dive the skies off?Do you still have that red pajamas which have been loved a lot. Do you still have a dream to build hut house on mountains of Kashmir .

I want to sit beside you and recall the moments we have shared and laugh until our jaws would give up to widen and be a smiling stubborn in the very next moment when one of the millions of beautiful memories voyage down in our heads and we could feel those butterflies in our stomach. I want to relive the whole chapter that is named after you., again and again. The chapter which plotted the life so wonderfully. 

I want to make sure that someone is there with you to do wierd stuff you feel like doing everytime and to wipe out your tears and make fun of your nose which turns reddish wherever you cry , someone who can manage to put a smile on your face, someone who could bring you something when you get mad of hunger at 3 am , someone who could manage with your mood-swings . I wish I could be a prince of those fairytales and make a escape to nowhere with you. But reality slaps me every time. 

I do miss you a lot . I feel that void but I can't tell you the extend . I am afraid it may weaken you down.I usually talk to myself about you and try to open up myself to the world in a hope that one day we would be that much together again.

Friday, 13 April 2018

Dooriyan #Creation 38

Maloom tha mujhe ki ye dooriyan mujhe kamzor karegi har roz...,
maloom tha ki ye ankhein ...teri ankhon se milne ki zidd karegi har roz,
maloom tha ye gustakhi hogi..par phir bhi anjaan ban kar mene ye harkat kar li..,
wakif raha dil har baat se humesha, par phir bhi isne tujhse Mohabbat kar li... !!

manzil shayad ek ho humari ...par safar akele humein karna hoga...,
Aasman ke chaand ko dekh kar har roz mujhe apna man bharna hoga...,
Khushi ki muskurahate thodi feeki hongi...gam me aansu thode sukhe honge...,
har pal me kuch kami sataegi aur har pal kahi imtehaano me mujhe jalna hoga...

Maloom tha ye daastaan-e-ishq har ka har panna kuch adhura sa lagega, par phir maine apni zindagi iss dastan ke naam kr li..
beparwaah raha dil har baat se, aur befikri me tujhse Mohabbat kar li...

Ye dooriyan dariya si bahengi bich me humare, 
Kuch lachaar aur bebas se lagenge kabhi ye kinare,
Intezaar hoga milne ka har dafa...Iztiraar hoga milne pe har dafa...,
wo kone sheher ke...tera hi naam aa kar kahenge mujhse sare..


maloom tha ki ye ishq lehro sa chhoo jaega mujhe kinaro pe har roz...jaise khat laaya tha koi tera, par phir bhi mene inhi khat ke lifafo me hi apni zindagi bhi rakh di...
wakif rha har dard se ye dil, par phir bhi usne tujhse Mohabbat kar li ...!!

@Garvit

Saturday, 7 April 2018

Friendzone #Creation 37

Yeh hai kahani mere ek dost ki, jo tha tanha ...bilkul alone,
Mannato se sala ek ladki aayi jeevan me  ,par usne bhi kar diya inhe friendzone.,

Yun to kahi baar pyaar hua tha bhai ko, par pehle kabhi baat itni aage bhi na pahunchti thi...
Yeh to din raat khoye rehte the unke khayalo me, par ladki inke bare me sandass me bhi na sochti thi...,

Par sukha hua tha khatm jawani ka, jab barsaat si aai ye ladki dil ki zameen par..,
Use dekhne ke liye college bhi chala jaata tha roz, esa bhoot sawar hua tha kameen par...,

Dosti hui to khush tha bhut, kyunki suna tha usne ki dosti hi pyaar ka pehla kadam hoti hai...,
Par kya pata tha nadaan ko ki आंकडो के अनुसार ..yahi dosti mostly love stories ki ending bhi hoti hai !!

Phir baaton-mulakaaton ke silsile hue shuru., night pack dalwa ke raat-raat bhar  बतियाते the dono,
itne me inka jee nahi bharta to last bench pe beth ke pura lectures चतियाते the dono,

Udhaar ke bichara paise jod kr usko Dominos CCD le jata tha..,
Kabhi dosto ki daaru party chhod kar usko cold coffee pilane le jata tha,
kehta tha bhai ye ladki sabse alag hai, meri buri aadaton pe mujhe daant-ti hai,
phir sab experience londe usse bitha ke samjhate , ki bhai esi hi ladkiya apan jeso ka kaat-ti hai,

ese karte karte kuch 4 mahine beet gye, aur iska friendzone.. uss ladki ka comfort zone banne laga tha,
aur yaha bhai ke dil me pyar ka bulb aur tezi se jalne laga tha...,

परिस्तिथियों का मुआयना kara to samjh gye hum ki ab khel to iss pitch pe ho nahi sakta,
motivate kara phir khoob usse, ki aaj tujhe dil ki baat kehne se toofan koi rok nahi sakta,

To keh di isne apne dil ki baat, on the knees.. holding her hand,
Aur wo sharma ke boli pgle love you too but as a friend...
Ladki ka behaviour to Newton chacha bhi samjh na paye the,
Ye desperate bhramchaari, to waise hi engineering ke sataye the...,

Bottle khuli dhero uss raat, dil-jale deewane ko apna dukhda jo rona tha,
Daaru pee pee ke gum to usne moot diya, par bhul gya ki agle din paper me paas bhi hona tha...,

lakh tareeke apnaaye usne ki chhuth jaaye iss atrangi yarri ka saaya,
par naa result bacha bichare ka, aur naa friendzone namak loop escape wo kar paaya,
Ignore karne ki koshishe khub karta tha wo, par har baar mission kuch impossible sa najar aata tha,
wo waha chaar emotional baatein kar deti thi aur yaha bhai apna beer sa beh jata tha... 

Friendzone ek चक्रव्यूह ki tarah hai dosto... chale gaye ek baar to wapas na loat paaoge,
Jaanu - shona sunna chahte ho jin मोहतरमा se, tahe zindagi unka 'special friend' hi keh laoge... !!
arre baki sab to dhur ki baat sala pappiya bhi phir cheek pe hi milti hai... 
to kat-lo beta jaha ese आसार dikhe ,iss kahani se humein yahi seekh milti...!!
@Garvit

Thursday, 8 March 2018

Chai-Sutta : The love story #Creation 36

This the basically the untold love story of Chai-wati and Sutta singh :p ,how the things went up that leads to their forever bond, a love story that no one would have told you before :p
I hope you would enjoy !!


Aao aaj aapko ek anokhi prem katha main sunata hoon,
Chai-sutta ke atoot bandhan ki kahani main batlata hoon.., 
To hua kuch yuh.. ki chai ki alhad jawaani tab khoob ubaal par hua karti thi...,
Aur sutta singh ki dhaak bhi har nukkad pe raha karti thi...
Sutta singh dilo me hi nahi, fefdo me bhi raaz kara karta tha,
Aur chai-wati ki aag main pura kasba jala karta tha,
Meethas to thi kher chai-wati ke jeevan me, magar kuch feeki si rehti thi wo,
Par log pagal the uske pyaar main ese ki kuch ke to ragon me hi behti thi wo....
Chai-wati aur coffee-lata, dono behne ninde udake rakhti thi bhale jamane ki,
Par dono me humesha ek hod si lagi rehti thi lubhane ki..
Aur yaha sutta singh ke muh lagne se yun to sab bacha karte the,
Par ek bar jo muh lag jate, to phir jam ke tareefe kiya karte the...
Dhua-dhaar tha sutta-singh yun to, par akelepan me sada jalta tha...
Pesha uska esa tha kuch, kabhi din bhar aur kabhi raat raat bhar chalta tha..
To barsaat ka mosam tha, sard hawaein thi us din badi...
Bhaari barish thi har taraf, aur wahi kone me thi ek chhoti si thadi...
Chai-wati ka jaadu me rangne, ek mahashay thadi-darbaar main aaye the,
Aur sath me apne best friend sutta singh ko bhi laaye the,
Chai-wati aangan ki kali si thi, aur sutta singh tha jaise rowdy sardaar,
Par kayamat aa gayi uss moment jab hui inki aankhein chaar,
Hot to dono lapak parantu wo pal tha esa extremely cold..
Ankhon hi aankhon me baatein hui kuch aur ho gaye dil dono ke sold !!
Wo 5 minute ki mulakaat me unhone esa strong connection joda...
Ke Uss din ke baad ek duje ka sath unhone phir kabhi nahi chhoda, 
Sath hi dikhte the khule bazaro me  , har taraf dono...bekhof sare aam...
Sutta singh ka khauf tha logo me par ..chai-wati ko na lagta tha usse koi harm...
Patchad aae..vasant aae, aur aae na jane kitne mosam...
koi yaari nahi, koi mohabbat nahi thi jo inke zikrr ke bina hui ho khatam..
aaj bhi har barsaat har sard shaam main un dono ki jodi ko yaad kiya jata hai...
Heer-ranjha, Laila-majnu jaise pyar ke panchiyo me chai-sutta ka naam bhi Aata hai...!!!
@garvit

Wedding Day #Creation 35

A dream version of the dream day!!! Happy Reading :)


Oh love, this is going to be the best Day of our lives,
Its our wedding day,  let me be more precise...
We will built the mansion of dreams we have seen,
The heaven on the earth in which we have always been...
From the beginning to end, holding your hands in my hand,
I can't tell you how It feels, to have you in my band...
The times we have spent together, laying on the beaches stalking shooting stars,
Those dance , singing duets ,late night movies and the candy jars...
The time we have had fights,the times we have made love,
Times when how much I love you, I couldn't tell you enough...
Times we were apart , incomplete like a piece of shook..
All would be some wonderful chapters  of our story book,
My white tuxedos are perfect, and the black bow tie..
You are dolled up in a white gown, ohh god I sigh...
love, this is going to be the best Day of our lives,
Our wedding day it is, let me be more precise
You are walking the aisle , like a fairy  is moving to me,
I am out of my senses, and you got me down on my knees.,
Your blushing is a cocktail for me, a cocktail with your bliss,
Lets begin the life we always wished with a beautiful wedding kiss...

@Garvit

Barsaat #Creation 34

The first rain vibes :D Happy Reading!!!


Aaj phir jhoke hawa ke kuch kehna chahte hai,
Aaj phir ye meri syahi me dubki laga kar panno pe behna chahte hai...
Aaj phir ye aandhi toofan ye naachti tehniyo ki dhun pe koi geet likhna chahta hoon,
Aaj phir pehli barsaat me uss jalti dharti se pehle main bheegna chahta hoon...,
Aaj phir megho ka tyohaar aaya hai dekho...andhero se roshan hua hai aasman,
Aaj phir ek gut chiraiyyo ka aaya hai chhat pe...kehne phir wahi dastaan...
Aaj phir galiyaro me bachpan ne dodd lagai hai,
Aaj phir wo kagaj ki naav koi chitthi le kar aai hai...,
Aaj phir taru ki wo murji kaliyaa muskurai hai..
Aaj phir aagan me mere dekho barsaat aai hai...

आज फिर झोके हवा के कुछ कहना चाहते है,
आज फिर ये मेरी स्याही में डुबकी लगा कर पन्नों पे बहना चाहते है,
आज फिर ये आंधी तूफान..ये नाचती टहनियों की धुन पे कोई गीत लिखना चाहता हूँ।
आज फिर पहली बरसात में जलती धरती से पहले में भीगना चाहता हूँ।
आज फिर मेघो का त्यौहार आया है देखो, अँधेरे से रोशन हुआ है आसमान,
आज फिर एक गुट आया है छत पे ..कहने फिर वही दास्तान।
आज फिर गलियारों में बचपन ने दौड़ लगाई है,
आज फिर वो कागज की नाव कोई चिट्ठी ले कर आई है।
आज फिर तरु की वो मुरझि कलिया मुस्कुराई है,
आज फिर आँगन में मेरे देखो बरसात आई है

@Garvit

Wednesday, 7 March 2018

Waisi si Mohabbat #Creation 33

"Jab Mohabbat se mohabbat hoti hai", When you miss that bloody feeling <3

Jab chehre pe mere muskurahat ka pata, mujhe kisi dusre se chalta tha....
Jab suraj har roz mera koi mahakte se nasho me dhalta tha...
Jab chaand ko taankta to wo kareeb mehsus hoti thi thoda,chandni jaise uski aahat si lagti thi...
kabhi kabhi sapno main aa kar wo meri ninde bhi thugti thi..
Aaj phir dil uss beparwah kagaj ki naav ke jese uski aankhon me doobna chahta hai...
Aaj phir na jane kyu dil waisi si mohabbat karna chahta hai....

Kabhi itna lat-pat hua hu pyar me, ki ek pal me hi aankhon me paani bhar aaya bas yuhi...,
kabhi raste me kisi unjaan me chehra uska hi najar aaya bas uhi...
kabhi baarish ki sondhi sungandh ne, kabhi sard ki pehli kiran ne.. taaro ke niche uss thande   palang ne.... ek khayal uska hi laaya bas yuhi
kabhi sun ke koi geet ruhani..kabhi sun ke uss aashique shayar ki kahani..,  kabhi padh ke koi nazm purani, naam uska hi aaya zubaan pe aaya bas uhi...
Aaj phir dil kisi ka hath pakd yaadon ke samundar me kuch dubakiya bharna chahta hai...
Aaj phir na jane kyu dil waisi si Mohabbat karna chahta hai...

Wo gale laga lena uska mujhe bewajah ..aur kabhi kandhe pe mere befikarr ho so jana...
wo subh ki pehli jalak uski hoti aur raato ko kareeb se use dekhte dekhte ankhein band ho jana...
wo paas  bhale na hoti par sath humesha hoti thi aur ishq main masgool mera pagalpantiya uske liye karte jana....
wo ehsaas...wo ehsaas jab hosh ki talash nahi rehti... ,aur iztiraar sa raaton me aa jata hai..
Aaj phir dil na jane kyu waisi si mohabbat karna chahta hai...

जब चेहरे पे मेरे मुस्कुराहट का पता मुझे किसी दूसरे से चलता था,
जब सूरज हर रोज़ मेरा कोई महकते से नशो में डूबता था,
जब चाँद को ताँकता तो वो करीब महसूस होती थोड़ा, चाँदनी जैसे उसकी आहट सी लगती थी..,
कभी कभी सपनो में आ कर वो मेरी नींदे भी ठगती थी।
आज फिर दिल एक बेपरवाह कागज़ की नाँव की तरह उसकी आँखो में डूबना चाहता है,
आज फिर ना जाने क्यों दिल वैसी सी मोहब्बत करना चाहता है।
कभी इतना लत-पत हुआ हूँ प्यार में कि एक पल में ही आंखों में पानी भर आया बस यूँही,
कभी रास्तो में किसी अंजान में चेहरा उसका ही नजर आया बस यूँही, 
कभी बारीश की सोंधी सुगन्ध ने, कभी सर्द की पहली किरण ने ,कभी तारों के नीचे उस ठन्डे पलंग ने...ख्याल उसका ही लाया बस यूँही,
कभी सुन के कोई गीत रुहानी,कभी सुन कर कोई आशिक शायर की कहानी, कभी पढ़ कर कोई नज़्म पुरानी.. नाम उसका ही आया जुबान पर बस यूँही,

आज फिर दिल किसी का हाथ पकड़ के यादों के समंदर में कुछ डुबकियाँ भरना चाहता है,
आज फिर ना जाने क्यों दिल वैसी सी मोहब्बत करना चाहता है।
वो गले लगा लेना उसका मुझे बेवजह, कभी कंधे पे मेरे बेफ़िक्र हो सो जाना,
वो सुबह की पेहली झलक उसकी होती और रातों को उसे करीब से ताकते ताकते आँखे बंद हो जाना,
वो पास भले ना होती पर साथ हमेशा होती थी,
और इश्क़ में मशगूल मेरा पागलपन उसके लिए करते जाना।

वो एहसास ...वो एहसास जब होश की तलाश नहीं रहती और इज़तीरार सा रातों में आ जाता है,
आज फिर ना जाने क्यों दिल वैसी सी मोहब्बत करना चाहता है।

@Garvit

Tuesday, 19 December 2017

Shayaris #Creation 32



The writings by some of the greatest shayars and poets of all time like Rahat  Indori, Gulzar, Javed Akhtar., Munawwar rana have always inspired me to try my words on shayaris and stuff. So I have tried to write some stuff like that and I hope you will have a happy reading :)


.









Tuesday, 20 June 2017

Papa #Creation 31

Kal ki hi to baat hai papa...jab aap mujhe meri galtiyo pe khoob fatkaar lagaya karte the,

Kal ki hi to baat hai jab aap roz kaam se loat-te samay mere liye kulfi laya karte the...

Kal ki hi to baat hai jab scooter pe piche kaskar pakde bethna apko..mujhe bahut mehfuz sa mehsus hota tha...

Kal ki hi to baat hai jab raat hoti to baajuo pe aapki ser rakh ke main sota tha...

Kuch kami si lagti hai papa kahi, kahi kuch suna sa ho gaya hai...

Aur aap kehte ho ki dekho beta mera ab bada ho gaya hai...

Chaadar ughaad deta tha raat ko to saanya aapka dhak deta tha mujhe...

Janam-din aata to puchte the mujhse ...ki bol beta iss bar kya chahiye tujhe..

Pehle kadam bhi to mene apne ...aapki ungli pakad kar hi badhaye the...

To inhi pero pe kabhi khade ho kar mene aapke paanv dabaye the....

Sochta hu.. phir ek din zameen par hi so jàu, aur aap aao mujhe bister tak goad me le jane...

Sochta hu phir ek din school ni jane ke liye  kahi jhuth bolu main , par aap samjh jao mere sare bahane...

Sochta hu phir ek din aapka hath pakad ke niklu baazar main, aur khilono ki khwahish karu aapse...

Sochta hu phir ek din dosto ki koi toli me jane ki dar dar ke sifarish karu apse...

Kyunki...

kuch kami si lagti hai papa kahi, kahi kuch suna sa ho gya hai...
Aur aap kehte ho ki dekho beta mera ab bada ho gya hai...

कल की ही तो बात है पापा जब आप मुझे मेरी गलतियों पे खूब फटकार लगाया करते थे ,

कल की ही तो बात है जब आप रोज़ काम से लौटते समय मेरे लिए कुल्फी लाया करते थे,

कल की ही तो बात है जब स्कूटर पे पीछे कसकर पकडे बेठना आपको मुझे बहुत महफूज़ सा महसूस होता था,

कल की ही तो बात है जब रात होती तो बाजुओ पे आपकी सर रख कर मैं सोता था।

कुछ कमी सी लगती है पापा कही, कही कुछ सुना सा हो गया है,

और आप कहते हो की देखो बेटा मेरा अब बड़ा हो गया है।

चादर उघाड़ देता था रात को तो सांया आपका ढक देता था मुझे ,

जन्मदिन आता तो पूछते बोल बेटा...इस बार क्या चाहिए तुझे,

पहले कदम भी तो मेने अपने ..आपकी ऊँगली पकड़ कर ही बढ़ाए थे,

तो इन्ही पेरो पर कभी खड़े हो कर मेने आपके पाँव दबाएँ थे।

सोचता हु फिर एक दिन ज़मीन पर ही सो जाऊ और आप आओ मुझे बिस्तर तक गोद में ले जाने ,

सोचता हु फिर एक दिन स्कूल नहीं जाने कही झूठ बोलू ,

पर आप समझ जाओ मेरे सारे बहाने,

सोचता हु फिर एक दिन आपका हाथ पकड़ कर निकलू बाजार में, और खिलौनो की ख्वाहिश करू आपसे,

सोचता हु फिर एक दिन दोस्तों की कोई टोली में जाने की डर-डर के सिफारिश करू आपसे।

क्योंकि..

कुछ कमी सी लगती है पापा कही, कही कुछ सुना सा हो गया है,

पर आप कहते हो की देखो बेटा मेरा अब बड़ा हो गया...।।

@Garvit

Thursday, 30 March 2017

You have to come back # Creation 30

Preceding your father's life, you always wanted to join army. You have been a patriot since always. Or that was your father's blood voyaging in your veins. Your father was a brave prestigious man. I had been always proud of him and respected his desperation for army and his dreams to serve the country . Though his passion and job had made us apart many times, many times when I needed him , many times when I felt a void in my life. But his not being with me seemed never wrong to me.I knew this would happen before our marriage but I choosed this life because I had loved him. Inspite, he had one another love too, love for his duty and he had never try to offset with it. Though, he never had been with me much but one day, he left me . Left me to heavens with infant you in my hands. I had no idea how my life would head up without him. He was my only family.A war ate up my whole world all of a sudden. A life which we had dreamed of was buried with him, now it was going to be a different life .I was scared. I was spifflicated. Then I looked at you and  I saw a glimpse of him in your eyes which were swelled up with tears. You felt like my everything for whom I had to smile and cheer my breaths up. I nourished you, putting up my best , tried to justify the persona of a father too . The deprivation caused to my soul from loosing your father couldn't be healed completely ever, but you have been a sun in my life.You got me the reasons to be happy and to care about myself. I had moved on from past a little, a little busy in making the today more complete when one day, you were some 8 years old that time, you came to me with your toy gun and said 'Mumma..I will become a soldier'. You kept gibbering that I'll fight for my country and I'll destruct the enemies if they raise their eyes on my people. A fear torn up in my heart in that very second, I couldn't afford another loss, I couldn't die again but I swallowed up my egocentricity and appreciated  you with a smile. Sociality inside me was almost dead. My mornings always started with making you your bed coffee and the night ended with kissing your forhead . You were my whole world and I never wished to step outside it. But, it was like you asked me to play a game that day in which, I would loose in either case. With the span of time you grew up into a Smart, intelligent and obedient child . You were a perfect child. But you have your own ways. You joined the army. I never stopped you from doing what you loved and this was the biggest dream of your life although. How could have I asked as  you to stay with me , how could I had been so narcissistic .But apprehensions were eating me inside. But what could I have done !  I wished a safe life for you and sent you off with a scared proud mother inside.But I didn't let my fears fade the feeling of proud on you.  After you went off,I was all alone again. This time the pain was more atrocious because you habituated me of love again. But I kept telling myself that though you are miles away, you are here, here for me. I was happy for you.

Today, I want to say that just keep living your dreams and serving your country, as your father would have wished if he was here and remember that I will be always there with you in every war you will fight, in every challenge you will face , in each of your lows and highs, I will be always with you son.I will be always proud of you. And keep it in your mind that you just can't die, you can't do this to me. You have to come back always , for someone back here at home, for someone who can't afford to loose you anyway, for someone who's waiting for you....you have to come back.
@Garvit

Thursday, 16 March 2017

My Superhero Dad # Creation 29

My father has been too strong since my very initial breathing memories , strong Like the tough stem of the tree. Unswayed by the weather changes of the life he stayed strong, never being too good in evincing. I kept presuming that this is the way he is.... Less emotional, Highly matured. But as I Grew up , I got to understand that we , his family were the roots of that tree. As we got scattered away from him, he got weak somewhere inside. The strength is attenuated. 
He used to be different or may be this was him inner to that crust , crust through which I could never see. The person, we totally rely on seems a little dependent on us now. He seems tired now. He needs a support. He seems incomplete. I considered him a super human but no, he was no exception..he too needs to be nourished by love and care as we all do. 
  I marveled to note that the time flies in pattern similar to a hourglass. As the sand tickles down ,a father be the one who decides things we should do and which we shouldn't, He be the one who holds our hand and takes us out on vacations and fulfill our demands and needs. Sitting on his scooter , holding him tight is such a Triumphal ride for us.  He works hard to fulfill our little dreams. He always being so perfect. But then , as it happens in a hourglass...the time repeats itself in the opposite flow.  Clock starts ticking back. He doesn't punctuate us much , he thinks we are mature enough to take care our own's good. Our little achievements are so triumphal for him. And now its been us who work hard to make his dreams come true. Its been us who fulfill his needs, who take him out on vacations, holding his hands. He feels good when we spend time with him, He feels good when we drive him off somewhere . Recalling all that blissful memories, we laugh loud and sometimes we feel that void which can't be replaced. He loves those days, he loves to talk about it. Why wouldn't he..it was beautiful. He misses himself, as do we.
      I still remember, I used to cry so hard when he had to go for business trips just for a day or two , but He couldn't even cry loud when I was the one who had to leave home for studies and he didn't even know when I would return back. But a bruise was there in his eyes that day , bruise of loneliness. But he showed nothing through his words. I couldn't understand that part of him until that day. I had never supposed that I had that much importance in his life and it would be that hard for him to send me off from him. I had never met that emotional him. He was my Superman dad , who can solve every damn problem of the world but he was so helpless that day. My eyes didn't consent the change. But he was so hard on playing the stereotype. He always has been so hard on playing his tough stereotype.
But now,  he is not good in ploughing his emotions and feelings . Though He still doesn't express much but his eyes speak something that hurts me deep inside. There's paleness. There's restlessness. He wants me to be there with him. But yet again he says nothing .I want to hug him tight and tell How much I love him, but I have to go and I don't want to add on the nuisance.I wish , I Could nod to those eyes  , I wish I could stay !

@Garvit

Saturday, 11 February 2017

Kya Likhu.... # Creation 28

Kya likhu ki Shabd mere ho aur Dastaan lakho ki bayaan ho jae,
Kya likhu ki jab sune meri nazme koi to wo yaadon se saje galiyaro me kho jae,

Kya likhu esa ki tukbandiya meri misaal si kahi jae mehfilo me kabhi, 
Kya likhu esa ki geet baje jab mere to masti me ho majboor thirakne lage sabhi...

Kya likhu esa jo ishq sa khoobsurat ho aur Ishq ke tajurbo sa ho khaara...
Kya likhu esa ki kam hi labz kharch ho mere aur utar jau kagaz pe main saara.., 

Kya likhu ki mere khayalo ki gehraiyon main jhaank sako tum bhi,
Kya likhu ki shabdo ka shringaar panno pe taank sako tum bhi...,

Kya likhu ki iss raat ki khoobsurti ke sang thoda insaaf ho jae...,
kya likhu ki taaref me kami bhi reh jae noor ki to maaf ho jae...,

Kya likhu ki Jo bayaan na hui thi baatein ab tak, un baaton ko lafzo ka ek rasta mil jae...
Kya likhu ki Khud ke aur kareeb mehsus ho mujhe aur pehchaan se meri mujhe thoda fasla mil jae ...
@Garvit

Mehfil-e-Exam #Creation 47

Theek 6 mahine baad aaj phir ek baar... दरबारियों  ke kaano me khatre ki ghanti baji hai.. नजदीक  aa rhe संकट  ko dekhte hue...aaj phir ...