Thursday, 24 May 2018

Meri Pyari Relgadi #Creation 40

A poetic version of a typical love story with a pinch of humour. Watch the video and read along.



Bhari thand me.. subh uth ke uske didaar ko nikle the hum..
Maflar topa sab fail ho gye the, 2 ghoont phir maari thi rum..,
Girte padte bhaag dodh ke uss bus stop jaa phucha.,
Jaha kal use dekh pehli baar, dil ki bagiyaan me hua locha...
phucha jab waha to wahi khadi thi wo haseen peeli saree me..
jese sone ka pura bazar la diya ho mujhe kisi ne udhaari me,
Main khoya soch vicharo me ki apni har raat ho iski godi me let ke...,
ki utne me aayi ek laal bus, aur chali gayi wo zaalim usme beth ke...
par main akela nahi bebas tha waha, jaate hue use dekh rhe the sab...
itne me bagal wala kaan ke paas aa kr bola, sir ji.. welcome to the club...
me khada rha kuch der waha, socha kal pkka meri luv story ki shuruaat hogi...
padh gya main soch me phir ki mera pyaar hai ya train ki general boggi..!!

Tip tip barsa paani raat bhar.. Aur me uski yaadon me barasta raha..,
Uss din puri raat ye dil koi kaale badal sa garajta raha,
Bhor hui to socha aaj thoda jaldi phuch jata hu,
Pr jese hi phucha bus stop to pata hai phir me kya pata hu..
7 hi the kal to sasure aaj ho gye pure dus...,
mufat me bat rha ho jese rakhas lok amrit ras..., 
The to sab ke sab hi nirale, par kuch to the bilkul offset,
Mathe pe tilak vastav ka to haath me sallu jaisa bracelet,
ek the chacha Bhopali , paan daba kar aae the...,
shero-shayri ke sada bahar unhone nuskhe bhi apnae the...
Par wo ladki ka dil tha thoda mehanga.., itni asani se milne na wala tha...
par wo na janat the ki iss bar khel me unka kisse pada pala tha.,
Bus aai aaj bhi laal, aur usme ho gayi shrimati sawar...
Par dhradh-nishay sa kra tha mne naa jane dunga mouka iss baar,
to chhadh gya me bhi usi jahaaz me jiska na ab koi dhikana tha...
bhavnao ki lehro se sambhal kar, mujhe apni Nayya paar lgana tha..,
Jaa betha uski piche ki seat pe me aur baki umeedwaro ki aur dekh ke thoda muskura diya...,
Ese hairaan pareshaan the sare jese kisi ne mufat ki dawaat ko thukra diya ....,
bus to badh gyi thi aage par ab meri ye Prem katha kaise aage badhti... 
Na kuch tha use kehne ko, naa wo aa kar meri ankhe padhti,
itne me upar wale ne kuch madad bheji aur unke hath se ek kagaj chhuth ke aa laga meri chhati se,
Esa Laga ek pal ke liye jese diya mil gaya ho uski baati se.,
Wo palti aai kayamat yaaron , violen se bajne lage background me...
Jese jeet ka swagat hua ho ...jo mili thi abhi elimination round me...
Sambhaala khud ko mushkil se aur muskuraate hue lotaya kagaz unka,
Par unhone loota tha chain jo mera , ab mushkil hi tha hisaab bhi milna uska...
Paper is a non-conductor ye padhe the hum bhi science main,
Par chua usne wo kagaz to laga jhatka esa jaise heera nikal gaya ho patthar ki mines me...,
Thank you bol ke palti wo, darshan ke pat band hue julfo se uski ,
Wo palti hi thi ki ...main kuch kehne hi wala tha aur laali ne li ek tanik si thuski,
mohtarma apni tashreef uthae, pallu sambhale darwaze ki aur badhi,
2-3 bhaisahab aage the bas unke , aur ek pal k liye laga ye kahani yahi reh jaegi dhari...,
Utar gayi wo bas se niche, aur me bas dekhta hi ja rha tha usko,
Kya kahu, Kya karu...kaise roku.....kuch bhi samjh na aa rha tha mujhko,
Laga tha jese khatm ho gya ye Jannat ka trailer , wo husna pari thi jahan ki..,
itne me awaaz aai ki  'arrey bhai, ye bag kiska reh gya' , aur samjh gaya main ki abhi picture thi baaki...
Chhena bag mene kaka se,main bhaga-doda bhul jahan, 
Cheekha main bus ek min rok de bhai, Manzil piche meri tu le jaega kahaan...
Chalti bus me utra main, aur dod lagadi ulti phir mene...
Milkha singh sa bhaga esa Na traffic dekha  na signal mene ,
Tapkne lagi mathe se boonde, par 2 minute me hi phuch gaya main phir uss kinare,
Jaha lehre uthi thi abhi kuch der pehle hi, aur naav meri chhod gayi thi mujhe in kanaro ke sahare..,
Par nazar ghumayi to wo ladki kahi na dikhai di ....naa dikhai di mujhe koi chamak kahi...
Haan bas laal rang ki ek shandar Gaadi khadi thi kone me wahi...
Arre bhai Sunder cheez dekh ke khushi hi hoti hai na, wo gaadi dekh kar mujhe bhi hui ek daafa...,
par jese hi ander jhankaa main to samajh gya... ki noto pe hi kyu likha tha 'Sonam bewafa' ,
Ander bethi thi anarkali wahi... Apne dashing se salim ke sang,
hum the thehre aadmi desi, kaha daalte sala rang main bhang,
pappi- jhappi sab mili salim ko. , Akhir raeesi to chehre se hi tapak rhi thi....
Tab samjha wo bai aankh meri subh se kyu fadak rhi thi....,
Ladki bhi gayi laali bhi gayi, chhod gye the sab mujhko uss mod pe...
Jal rha tha dil ese jese plastic jalta hai immersion rod pe, 
Agle din phir gaya me usi junction, jaha se wo train har roz gujra karti thi,
Wahi jaha sirf uss train ko dekhne ke liye bhari bheed jama hua karti thi...
Gaya main waha to aaj wo muskurae mujhe dekh ke aur mene apni najare jhuka li.,
 Kuch sarcasm tha unki ankho me , jese keh rhi thi bhai ne bhi apni thuka li...
Wo rajdhani si thi gareebo ke jeevan, ye baat aai thi mujhe bhi samjh me ab,
Dekh ke nayan-sukh-praapti kar le, bas itna hi bheed me chahte the sab.,
to usi din se main bhi unn logo me shamil ho gya, jinke pas keval platform ticket hi hota tha...
Aur Har dusre din us bheed me ek naya Aashiqe badha hota tha...
Jese tese himmat kr chaadh to jate the uss luxury relgadi me krne sawari...
par jab TC dikh jata kabakht wahi, to ban jate gareeb kavale...


@GARVIT



4 comments:

  1. Very good dude, keep it up..
    Good lines nyc creativity...
    Waiting for more...😍😘

    ReplyDelete

Mehfil-e-Exam #Creation 47

Theek 6 mahine baad aaj phir ek baar... दरबारियों  ke kaano me khatre ki ghanti baji hai.. नजदीक  aa rhe संकट  ko dekhte hue...aaj phir ...