Saturday 7 April 2018

Friendzone #Creation 37

Yeh hai kahani mere ek dost ki, jo tha tanha ...bilkul alone,
Mannato se sala ek ladki aayi jeevan me  ,par usne bhi kar diya inhe friendzone.,

Yun to kahi baar pyaar hua tha bhai ko, par pehle kabhi baat itni aage bhi na pahunchti thi...
Yeh to din raat khoye rehte the unke khayalo me, par ladki inke bare me sandass me bhi na sochti thi...,

Par sukha hua tha khatm jawani ka, jab barsaat si aai ye ladki dil ki zameen par..,
Use dekhne ke liye college bhi chala jaata tha roz, esa bhoot sawar hua tha kameen par...,

Dosti hui to khush tha bhut, kyunki suna tha usne ki dosti hi pyaar ka pehla kadam hoti hai...,
Par kya pata tha nadaan ko ki आंकडो के अनुसार ..yahi dosti mostly love stories ki ending bhi hoti hai !!

Phir baaton-mulakaaton ke silsile hue shuru., night pack dalwa ke raat-raat bhar  बतियाते the dono,
itne me inka jee nahi bharta to last bench pe beth ke pura lectures चतियाते the dono,

Udhaar ke bichara paise jod kr usko Dominos CCD le jata tha..,
Kabhi dosto ki daaru party chhod kar usko cold coffee pilane le jata tha,
kehta tha bhai ye ladki sabse alag hai, meri buri aadaton pe mujhe daant-ti hai,
phir sab experience londe usse bitha ke samjhate , ki bhai esi hi ladkiya apan jeso ka kaat-ti hai,

ese karte karte kuch 4 mahine beet gye, aur iska friendzone.. uss ladki ka comfort zone banne laga tha,
aur yaha bhai ke dil me pyar ka bulb aur tezi se jalne laga tha...,

परिस्तिथियों का मुआयना kara to samjh gye hum ki ab khel to iss pitch pe ho nahi sakta,
motivate kara phir khoob usse, ki aaj tujhe dil ki baat kehne se toofan koi rok nahi sakta,

To keh di isne apne dil ki baat, on the knees.. holding her hand,
Aur wo sharma ke boli pgle love you too but as a friend...
Ladki ka behaviour to Newton chacha bhi samjh na paye the,
Ye desperate bhramchaari, to waise hi engineering ke sataye the...,

Bottle khuli dhero uss raat, dil-jale deewane ko apna dukhda jo rona tha,
Daaru pee pee ke gum to usne moot diya, par bhul gya ki agle din paper me paas bhi hona tha...,

lakh tareeke apnaaye usne ki chhuth jaaye iss atrangi yarri ka saaya,
par naa result bacha bichare ka, aur naa friendzone namak loop escape wo kar paaya,
Ignore karne ki koshishe khub karta tha wo, par har baar mission kuch impossible sa najar aata tha,
wo waha chaar emotional baatein kar deti thi aur yaha bhai apna beer sa beh jata tha... 

Friendzone ek चक्रव्यूह ki tarah hai dosto... chale gaye ek baar to wapas na loat paaoge,
Jaanu - shona sunna chahte ho jin मोहतरमा se, tahe zindagi unka 'special friend' hi keh laoge... !!
arre baki sab to dhur ki baat sala pappiya bhi phir cheek pe hi milti hai... 
to kat-lo beta jaha ese आसार dikhe ,iss kahani se humein yahi seekh milti...!!
@Garvit

No comments:

Post a Comment

Mehfil-e-Exam #Creation 47

Theek 6 mahine baad aaj phir ek baar... दरबारियों  ke kaano me khatre ki ghanti baji hai.. नजदीक  aa rhe संकट  ko dekhte hue...aaj phir ...