Thursday, 8 March 2018

Chai-Sutta : The love story #Creation 36

This the basically the untold love story of Chai-wati and Sutta singh :p ,how the things went up that leads to their forever bond, a love story that no one would have told you before :p
I hope you would enjoy !!


Aao aaj aapko ek anokhi prem katha main sunata hoon,
Chai-sutta ke atoot bandhan ki kahani main batlata hoon.., 
To hua kuch yuh.. ki chai ki alhad jawaani tab khoob ubaal par hua karti thi...,
Aur sutta singh ki dhaak bhi har nukkad pe raha karti thi...
Sutta singh dilo me hi nahi, fefdo me bhi raaz kara karta tha,
Aur chai-wati ki aag main pura kasba jala karta tha,
Meethas to thi kher chai-wati ke jeevan me, magar kuch feeki si rehti thi wo,
Par log pagal the uske pyaar main ese ki kuch ke to ragon me hi behti thi wo....
Chai-wati aur coffee-lata, dono behne ninde udake rakhti thi bhale jamane ki,
Par dono me humesha ek hod si lagi rehti thi lubhane ki..
Aur yaha sutta singh ke muh lagne se yun to sab bacha karte the,
Par ek bar jo muh lag jate, to phir jam ke tareefe kiya karte the...
Dhua-dhaar tha sutta-singh yun to, par akelepan me sada jalta tha...
Pesha uska esa tha kuch, kabhi din bhar aur kabhi raat raat bhar chalta tha..
To barsaat ka mosam tha, sard hawaein thi us din badi...
Bhaari barish thi har taraf, aur wahi kone me thi ek chhoti si thadi...
Chai-wati ka jaadu me rangne, ek mahashay thadi-darbaar main aaye the,
Aur sath me apne best friend sutta singh ko bhi laaye the,
Chai-wati aangan ki kali si thi, aur sutta singh tha jaise rowdy sardaar,
Par kayamat aa gayi uss moment jab hui inki aankhein chaar,
Hot to dono lapak parantu wo pal tha esa extremely cold..
Ankhon hi aankhon me baatein hui kuch aur ho gaye dil dono ke sold !!
Wo 5 minute ki mulakaat me unhone esa strong connection joda...
Ke Uss din ke baad ek duje ka sath unhone phir kabhi nahi chhoda, 
Sath hi dikhte the khule bazaro me  , har taraf dono...bekhof sare aam...
Sutta singh ka khauf tha logo me par ..chai-wati ko na lagta tha usse koi harm...
Patchad aae..vasant aae, aur aae na jane kitne mosam...
koi yaari nahi, koi mohabbat nahi thi jo inke zikrr ke bina hui ho khatam..
aaj bhi har barsaat har sard shaam main un dono ki jodi ko yaad kiya jata hai...
Heer-ranjha, Laila-majnu jaise pyar ke panchiyo me chai-sutta ka naam bhi Aata hai...!!!
@garvit

2 comments:

Mehfil-e-Exam #Creation 47

Theek 6 mahine baad aaj phir ek baar... दरबारियों  ke kaano me khatre ki ghanti baji hai.. नजदीक  aa rhe संकट  ko dekhte hue...aaj phir ...