- A.P.J.Abdul Kalam
Ankhe bhari thi uss din,aur hotho par ek hi zid thi..,
Pehli baar dhur jaana tha maa se, yhi cheez bas mushkil thi,
Ek chhota sa jo basta tha sath me, bs utna hi bojh tha kandho pe,
Chhoti moti khwahishe thi school ki aur, jo na kasti thi fando me .,
Bachpan kehte the use....bachpan kehte the use....
Bebaak , badboli aur kuch nadaan si thi wo zubaan..,
Laba-lab hi bhara rehta tha sada mere sawalo ka kuan.,
Ab to kher sabko sab kuch pata hi hota hai.,
Haan bas ye nhi samajh pata koi ,ki ye bachpan kaha khota hai...
Pehli baar dhur jaana tha maa se, yhi cheez bas mushkil thi,
Ek chhota sa jo basta tha sath me, bs utna hi bojh tha kandho pe,
Chhoti moti khwahishe thi school ki aur, jo na kasti thi fando me .,
Bachpan kehte the use....bachpan kehte the use....
Laba-lab hi bhara rehta tha sada mere sawalo ka kuan.,
Ab to kher sabko sab kuch pata hi hota hai.,
Haan bas ye nhi samajh pata koi ,ki ye bachpan kaha khota hai...
Naa noto ki jarurt lagti thi kabhi, naa rehta tha tab tizori ka pata,
Muskurakar maaf kar deta tha har koi, agar ho jati thi mujhse koi khata,
Aaj sikko ki khanak pe hi dodati hai ye duniya mujhe,
Naa narajgi jatane ka samay hai kisi pe,
Naa hi rishton ki keemat hai tujhe !
Puri umarr se jyada zindagi kehte hai jise,
Bachpan kehte hai use ,bachpan kehte hai use...
Muskurakar maaf kar deta tha har koi, agar ho jati thi mujhse koi khata,
Aaj sikko ki khanak pe hi dodati hai ye duniya mujhe,
Naa narajgi jatane ka samay hai kisi pe,
Naa hi rishton ki keemat hai tujhe !
Bachpan kehte hai use ,bachpan kehte hai use...
@Garvit
No comments:
Post a Comment