Friday 5 August 2016

MAA # Creation 20

And here it is,the most awaited write up for me. Although, describing a 'mother' is one of the most difficult task god have made, but I have always desired to try this up through poetry,so read it out and feedback how far I have done...



Kaise main bayaan karunga tujhko jab koi puchega tere bare main, ye tu batla de maa mujhe aaj hi,

Mere dil ki har baat pata hoti hai jaise tujhe, pata hoga na maa tujhe ye raaz bhi...

Kaise hisaab ginaunga main unhe ki kitna pyaar diya hai tune mujhko...
Aur kaise ginaunga wo sekdo raatein jab meri neend ki ajag ne sone nahi diya tha tujhko...


Kaise mehsoos karaunga unhe, wo sukoon jo teri goad me ser rakh ke sone se milta hai..

Kaise dikhlaunga wo chehra tera, jo meri har chhoti-badi kamiyabi par khilta hai...

Kaise tolunga wo tere ansuo ki keemat... jo the to bahut saste...par mere liye unse mehanga aur kuch na hota tha..
Kaise vishvaas dilaunga unhe ki chhot lagti thi jab mujhe, to mere dard pe tera dil bhi tha jo rota tha....

Shayad kuch jyada hi sunder thi tu dil se, wo sunderta tere chehre pe bhi raha karti thi...
Aaj lagta hai unhi sanskaro se kuch ban jaunga, jo tu bachpan se mujhe kaha karti thi..

Pehle alfaaz jo nikle the mere muh se, un alfazo ne tujhko hi pukara tha maa..
Pehle kadam bhi teri hi aur badhaye the,  main tera hi to raz dulara tha maa,

Tune apne sapno ka tabeez mere gale me daal kar mere sapno ki kamna bhi kar di...
Kabhi jo khalipan sa laga lakeero main, wo jagah bhi tune apni mamta se bhar di..

Tu alag ho mujhse maa kabhi, wo dard mujhe kabhi nhi hai sehna...
Pehli saas se sath hoti hai na jaise tu, wese hi aankhri saas tak mere sath hi rehna...


@GARVIT









1 comment:

  1. Out of all..... This is the best bro..Amazing. Maa shabd me puri duniya h..

    ReplyDelete

Mehfil-e-Exam #Creation 47

Theek 6 mahine baad aaj phir ek baar... दरबारियों  ke kaano me khatre ki ghanti baji hai.. नजदीक  aa rhe संकट  ko dekhte hue...aaj phir ...