A peaceful late-night of summer made me write this when I was traveling down to my home. A thoughtful mind, cold breezes..when their silent sound is the only thing you can hear and an open sky from where billions of stars are leering at you..well, that was JUST PERFECT!! So Have alook with what I came up with....
Kuch baat hai...jo labon ka rasta taraash rahi hai ,
Ek barsaat hai jo azaadi ke geet gaa rahi hai.,
Ek kiran hai suraj ki jo betaab hai ankhe chaka-chhondh karne ko.,.
Aur kuch khwaab hai ankho me jo umadte hai raato ki sawari karne ko.!

Kuch thandi hawae hai jo kaano me aa kar kuch khus-pusa rahi hai,
Aur ek ye nadaan dil hai jo kabhi bhi kisi se rusa nahi hai.,
Ek toofan hai..,jo mujhko iraado me basi takat dikha rha hai.,
Aur ek ye jharna hai paani ka jo bin kisi hisaab bas baha hi jaa rha hai !

Kuch taare hai jo tim-timate hue aasman pe natak dikha rhe hai.,
Aur ek umeed hai seene me jo heere se jyada chamakdaar aur majboot hai,

Ek benaam muskurahat hai, jiski wagah samjhana thoda pechida sa hai,
Aur ek meethi si yaad hai , jiske sath ye jeena thoda jyada jeena sa hai !

Khushnuma hu main, iss zindagi ke laakho rang dekh kar.,
Kitni haseen hai ye saanse, hairaan hu main ye soch kar !
Har ek pal esa likh rha hu main iss mukadarr ki kitaab me,
Ki duniya kahegi kyu chhod di thi saanse un janaab ne.. !!!

@Garvit
Ek No..bhai awsm thinking.
ReplyDelete