Friday 27 March 2020

Mehfil-e-Exam #Creation 47

Theek 6 mahine baad aaj phir ek baar... दरबारियों  ke kaano me khatre ki ghanti baji hai..
नजदीक  aa rhe संकट  ko dekhte hue...aaj phir mehfil-e- exam सजी  hai !
Kitaabo ka बक्सा  khola to pata chala ki pichle semester ki hi bas kuch phati hui Passbooks  padi hai..
han ek hai wo library ki kitaab jo pehle hafte me issue kara li thi josh me, par wo कम्बख्त moti badi hai...

Gadi uthai aur passbook  ki taalsh me chal diye hum...dimaag ke ek kone me kitaab ki late fees ki calculation chal rhi thi...
दर-दर भटके  hum, शहर छान  mara par har dukaan pe passbook 'out of stock' mil rhi thi...
Khali hath phuche ghar to dekha bahar khuli chappalo me इज़ाफ़ा  hua , दरबार  ki jaise puri तस्वीर  hi badal gyi thi..
sab the toh alag-alag branch se, par it was like Divided by branches...united by जुल्म  of university...

bas phir kya tha, hum branch ke sabse 'ज्ञानी backchhod' ko घेर  ke chorus me bole "Bhai please pass karade",
Wo bola waise to mujhe revision karna tha par theek hai...padha dunga, pehle koi zara kadak si chai पिला दे ...
Pura कुम्बा  utha aur नजदीक  wali chintu bhaiya ki chai ki thadi ki aur badh liya,
कांच के ग्लासों  ke tower bante gaye..., aur thodi hi der me suraj bhi dhal gya...,

Ab calculation lagaya beth ke ki 15 ghante me 5 unit kaise निपटानी  hai ,
Phir ek ne yaad dilaya ki aaj to sala Al-classico hai...  team ke प्रति  apni जिम्मेदारी भी तो निभानी  hai..
किताबो  me pencil fasa ke , dost ka projector manga ke...puri शिददत और   बलिदान की भावना  se match dekha aur Madrid jeet bhi gayi...
Phir ab khali pet to padhai hoti nahi  तो khana khane ढाबे  pahuch gye sab, aur pata na chala kab aadhi raat ko beet hi gayi..

ab bache the ghante 8 aur unit abhi bhi 5 bachi thi. ..ab फटी  अचानक , तशरीफ़ me thodi khal-bali machi thi,
mahol thoda गंभीर  hua aur humare gyaani bakchod ne padhana shuru kara, aur 2 unit padha ke bola main ab apne बिस्तर  chala...

भोर ho chuki thi ab aur ab ghante bhi bas 5 hi bache the, aur abhi 3 unit baki thi puri, 2 ke bhi bas importants hi kare the...
धूम्रपान  jalaye gaye aur pucha ek -dusre se ki iss विपदा  se kaise mare escape ,
hum 3-4 hi jyada लुढ़कने  की कगार  pe the, baki sare to le rahe the ghanto se nap...

Management ki degree lene se ni aata wo जुगाड़  jo 4-4 topic padh ke ek dusre ko padhane ko kehte hai...
isi management ki wagah se aaj naa jane kitne kahi engineer bane bethe.hai....

bas phir jaise-tese esi सामूहिक  padhai kar ke 8 bje tak 3 unit niptai, 
aankhein laal, फेफड़ो  me taaar... passing marks ki phir dobara calculation lagai...

Ab hum the athaa confidenti, kyunki passing marks to 3 unit me aaram se aa jaane the...
par phir aaya wo aadmi humare pas, jisne course complete karne ke sath sath ... 2 revision bhi mare the.,

4-5 topic ke naam bole usne , jo humne nhi padhe the...aur wahi topics sabse important bhi the uske हिसाब  se...
Aur phir phati humari kyunki ye topic to chhodo, lag raha tha 3 me.se ek unit to.already nikal gayi dimaag se...

Par ab question chahe jo aaye...jo padha hai wo to likh ke aana hi tha...
बेखौफ  ho kar nikal liye college ke liye, kyunki iss खोखले  confidence ke alawa na hi kuch aur sahara tha...

Esi hi mehfil -e- exam  प्रति  saal  2 baar sajti hai,
 6 mahine koi kitaab ni छूता , bhale pata hai end me har baar bajti hai...
kon कम्बखत  top karne ko paper deta hai, hum to dete hai passing marks ke liye,
Ab wo Chahe 'Grace' se mile to theek, warna chhod do ek subject agli baar ke liye... 


Written By: Garvit

Socha aaj kuch fresh sa likhu #Creation 46

Amid these Covid-19 situations, may this read reminds you the good things that has happened in your life and put a smile on your face :)

Socha aaj kuch fresh sa likhu....
Inn महकती  barsaati hawao sa.......  wo pehle pehle pyaar ke undefined एहसास  sa 
Wo zindagi ke pehle gulaab sa.., uske baare me aaye pehle khwaab sa...

Kuch esa jo bachhe ke pehle kadamo sa बेफिकर  ho,
Kuch esa jaisi pehli pehli baar chadhti liquor ho...
Kuch esa jo birthday pe mili nayi cycle  dekh ke uss bachhe ke chehre pe aayi मुस्कराहट  ki tarah ho...
Kuch esa jaise barso baad mile sab cousins me bachpan ki unn तमाम  शैतानियों ka ज़िक्र  ho...

Socha aaj kuch fresh sa likhu.... 

Kuch esa jo uss thandi raat me  आखरी   'bye' ke baad aaye life ke pehle kiss ki tarah ho,
Kuch esa jo सात समुन्दर  paar barso baad uss लंगोटिया  यार  se milne ki khushi ki tarah ho,
Kuch esa jo mere pehle paycheck ko dekh ke papa ki aankhon me aayi chamak sa roshan ho ,
Kuch esa jo bina calculations aur manipulations ke dekhe gaye jeevan ke sabse bade dream ki tarah ho...

पिटारो  me mili बचपन  ki  "personal diary" sa, 
Maths copy ke last panne pe likhi life ki pehli shayri sa...
मेले के झूलो  pe loat ke aaye uss बचपन  sa ,
Wo khule aasman ke niche liye lete koi खाली मन sa ...

Socha aaj kuch fresh sa likhu.... 

Written by : Garvit

Shabdo ki kami #Creation 45

Visit https://youtu.be/kv181TBlvnA for listening the same 

Shabdo ki kami mujhe lage kabhi to , tu apni saason me mere liye kuch labzz le aana,
main awaaz naa de pau kabhi to,  tu unn waado ke khatir hi loat aana.....

Kadam tere piche chhoot gye to kya, rait pe humare wo kadmo ke nishaan humesha saath rahenge,
bhale duniyaa iss paar ki sab bhool jaye, par unhe choo rahi lehro me wo pal sada kaid rhenge..

main aa jaya karunga inn lehro se baatein karne, bheegne uss kal me jisme tu mere saath thi..
dhalti shaam ko wo kisse batane aur wo geet sunane jinka tu raag thi...........

main aasman me rang dhundhu kabhi to, tu badal sa mujhpe baras jana,
main awaaz naa de pau kabhi to, tu unn waadon ke khatir hi loat aana...

manzilo pe naa milna bhle tu, par in raaston pe rahgir ki tarah to takra hi sakti hai,
pehchaan ne se mana kar de teri nigaahein to ,  kabhi kisi anjaan ki taraf bhi to muskura hi sakti hai,

haan agar teri muskurahat ko dekh ke thoda behak jau to tu kams-kam samajhdari se najerien fer lena,
main usse ankhon ka dhoka samjh lunga, aur tu mujhe koi sarfira keh dena....

Roshni zindagi se rooth jaye to kabhi, tu meri raaton ka andhera ban jana,
main awaaz naa de paau kabhi to, tu unn wadoo ke khatir hi loat aana...


शब्दों की कमी  मुझे लगे कभी तो , तू अपनी साँसों में मेरे लिए कुछ लब्ज़ ले आना ,
मैं आवाज़ ना दे पाउ कभी तो ... तू उन वादों के खातिर ही लौट आना | 

कदम तेरे पीछे छूठ  गए तो क्या , रेत पे हमारे कदमो के निशाँ हमेशा साथ रहेंगे ,
भले दुनिया इस पार की सब भूल जाए पर उन्हें  छू रही लेहरो में वो पल सदा कैद रहेंगे  | 

मैं आ जाया करूँगा इन लेहरो से बातें करने , भीगने उस कल में जिसमे तू मेरे साथ थी,
ढलती शाम को वो किस्से बताने और वो गीत सुनाने जिनका तू राग थी | 

मैं आसमान में रंग ढूँढू कभी तो , तू बादल सा मुझपे बरस जाना ,
मैं आवाज़ न दे पाउ कभी तो उन वादों के ख़ातिर ही लौट आना | 

मंज़िलों पे न मिलना भले तू , इन रास्तों पे राहगीर की तरह तो टकरा ही सकती है ,
पहचानने से मना कर दे तेरी निगाहें तो कभी किसी अनजान की तरफ भी तो मुस्कुरा ही सकती है | 

हाँ अगर तेरी मुस्कराहट देख के थोड़ा बहक जाऊ तो तू कम -से -कम समझदारी से नज़रें फ़ेर लेना ,
मैं इसे आँखों का धोका समझ लूंगा और और तू मुझे कोई सरफिरा कह देना | 

रौशनी ज़िन्दगी से रूठ जाए तो कभी , तू मेरी रातों का अँधेरा बन जाना ,
मैं आवाज़ न दे पाउ कभी तो , तू उन वादों के खातिर ही लौट आना...... बस लौट आना | 

Written by : Garvit





Kal Phir ek baar #Creation 44

Visit https://www.instagram.com/tv/B8ROQzql3UC/?igshid=1fp5evd75wq94 for listening the same

Kal phir ek baar wo mere sapne me aayi ..,
yun to uske sapne humesha se dekhta tha me....par  ab zameer  se izazat ni milti...to wo khud hi aa jati mujhe chidhane, 

nadaaan ho kar mujhse puchti hai.. kya haal-chaal hai aaj kal tumhare...jaise andaza hi na tha kuch use ..

puchti mjhse ki kya Vijay se FIFa me abhi bhi pehli jeet ka intezaar hai ...kya abhi bhi engineering mathematics tumhari samjh se bahar hai...
Kya aaj bhi speaker serhane rakh ke...gaane sunte sunte hi so jaate ho..
Kya aaj bhi  garmiyo ki raaton me bina puche ghar me sabke liye kulfi le aate ho...

Kehti wo kali shirt ....wo kali shirt jo.. maine pichle birthday pe gift kari thi.., uska jo button uss din car me tut gaya tha...wo abhi tak ni judwaya hoga na tumne...
Kehti tum jo likh rahe the mere liye...wo nagma, wo khat...jo bhi tha, wo tum kab pura karoge...

Main batana chahta tha use ki kitna man karta hai uss shirt ko pehen ke khud ko nihaarne ka, par jaise lagta hai...ki button to jud jaega par dhago me wo rang milna mushkil hai...
Main batana chahta ki wo nazmein sabhi to tab hi puri ho gyi thi....par main iss adhuri kahani ki unn dhero yaadon ke baad ek aur panna sahezne k liye tumne ni dena chahta tha...


kuch dino se jo marammat me laga tha main khud ki....uss marammat ki kal kuch esi shamat aai..
ki kal phir ek baar wo mere sapne me aai...

Wo chehra..jo waqt ke sath inn laakho chehro me thoda dhundhla hone hi laga tha...
Wo aankhein ..jinse ankhein chura leta tha main sheher ke kisi mod pe kabhi takra jaati thi to...
Wo baatein ... jinki gunj kaano me shayad thodi dheemi padne hi lgi thi...

Wo sab ek jalak se teri yun abaad hue, jaise  koi aandhi dhero panne palat ke phir kitaab ki shuruaat pe le aai...
Kal phir ek baar wo mere sapne me aai....


कल फिर एक बार वो मेरे सपने में आयी 
यूँ तो उसके सपने देखता था हमेशा से , पर अब ज़मीर से इज़ाज़त नहीं मिलती तो वो खुद ही आ जाती है मुझे चिढ़ाने | 
नादान हो कर पूछती है मुझसे क्या हाल चाल है आज कल तुम्हारे , जैसे कुछ अंदाज़ा ही ना था उसे,

पूछती मुझसे क्या विजय से fifa में अभी भी पहली जीत का इंतज़ार है ,  क्या अभी engineering mathematics तुम्हारी समझ से बहार है ,
क्या आज भी speaker सिरहाने रख के गाने सुनते सुनते ही सो जाते हो ,
क्या आज भी गर्मी की रातों में बिना पूछे घर में सबके लिए कुल्फी ले आते हो ,

कहती वो काली shirt .... वो काली shirt जो पिछले birthday पे gift करी थे मैंने तुम्हे उसका जो button उस दिन कार में टूट गया था वो अभी तक  नहीं  जुड़वाया होगा न तुम्हे ,
कहती तुम जो लिख रहे थे मेरे लिए.....  वो नगमा वो खत जो भी था , वो तुम कब पूरा करोगे !

मैं बताना चाहता था उसे की कितना मन करता है उस shirt को पहन के खुद को निहारने का पर जैसे  लगता है की button  तो जुड़ जाएगा पर धागो में वो रंग मिलना मुश्किल है | 
मैं बताना चाहता की वो नज़्मे तो तब ही पूरी हो गयी थी पर मैं इस अधूरी कहानी की  उन ढेरो यादों के बाद तुम्हे एक और पन्ना सहेजने के लिए नहीं देना चाहता था | 

कुछ दिन से जो मरम्मत में लगा था मैं खुद की , उस मरम्मत की कल कुछ ऐसी सहमत आयी ,
कि कल फिर एक बार वो  में आयी !

 जो वक़्त के साथ इन लाखों चेहरों में थोड़ा धुंधला होने ही लगा था ,
वो आँखें जिनसे आँखें चुरा लेता था मैं शहर के किसी मोड़ पे कभी टकरा जाती थी तो ,
वो बातें जिनकी गूंज कानो में शायद थोड़ी धीमी पड़ने ही लगी थी ,

वो सब तेरी एक झलक से यूँ आबाद हुए जैसे कोई आंधी ढेरो पन्ने पलट के फिर किताब की शुरुआत पे ले आई ,
कि कल फिर एक बार वो मेरे सपने में आयी | 

Written by: Garvit

Mehfil-e-Exam #Creation 47

Theek 6 mahine baad aaj phir ek baar... दरबारियों  ke kaano me khatre ki ghanti baji hai.. नजदीक  aa rhe संकट  ko dekhte hue...aaj phir ...