Friday 8 April 2016

Kuch Chhuth Gaya Hai jo # Creation 17

A world of a son and his mother..how they were the heartbeats of each other's lives ..
One of my favourites ...DO READ

Aanchal me tere main pala-badha., Teri phatkaaro se main hua bada..,

Mere kamjor pairo ki malish kar.. ,Tune mujhe chalne kabil banaya. ,
To har kadam pe ek baap ki tarah..,Tune mujhe mushkilo se bachaya..,
Chale gaye the papa sarhad par desh ki raksha ke liye.,
To tere hi najuk kandho ne maa har ek bojh uthaya....
Bimaar hota jab main ...to jese teri jaan sukh jati 
Raat-Raat bhar jaag kar maa tu thandi pattiya chadhati....,
Savere mujhe tera raja-beta bana kar school tak chhod ke aati..,.
To raat ko mere mathe pe hath fer chanda mama wali loriya sunati ..,
Hum dono ki apni hi ek duniya thi.,jisme koi kami mehsus nhi hoti thi mujhe...
Tu hi dost thi, tu hi ghar....teri mojudgi se jyada na khwahishe thi mujhe...,
Par phir mujhe padhai ke liye tune bahar bhej diya...
Kuch matlab tha tera ki me kuch ban jau.,to thoda tune balidaan de diya...,
Meri padhai puri hui to ek note chapne wali nokri bhi mil gyi..,
Par jab milne aaya tujhse to ehsaas hua ki meri khushiyo me hi teri zindagi nikal gyi...
Kitni akeli aur bebas si ho gi hogi tu yaha..,
Mere jane se kis tarah ujad gya hoga tera chhota sa jahan..
Papa ki raah takte-takte to teri palke kabse hi thak kar bichh gyi thi...
Magar main tha to jese pura sansaar tha, par mere jane ke baad itne bade sansaar me bhi tu akeli reh gi thi..,.
Aaj kuch ban gya hu main aur tera ser bhi garv se uchaa kar diya hai maine...
Par kis matlab ki ye shaan-o-shokat..,jab lauta ni sakta hisaab unn akele palo ka tere....
Bas ab sare aisho -aaram de sakta hu main tujhe meri kamai dolat se...
Par teri goad me sone ka sukoon maang sakta nhi main wo nikli mohlat se..!!

+Garvit Agarwal 

No comments:

Post a Comment

Mehfil-e-Exam #Creation 47

Theek 6 mahine baad aaj phir ek baar... दरबारियों  ke kaano me khatre ki ghanti baji hai.. नजदीक  aa rhe संकट  ko dekhte hue...aaj phir ...